Hasliyo Wale Mere - Ameer Hasan Aamir Lyrics


HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Laash par Besheer ki, Maa karti hai ro kar yeh bayaN
Arzoo dil hi me rahi, doodh badhaye ki Teri
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Maa ko na tadpaoo tum, ab goad me aa jao tum ab
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Soona hai sara ban ka ban, Tum ho akele Gulbadan
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Paas bula lo tum HameN, taa ke lage na dar tumhe
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Haaye yeh kya sitam kiya, saath Mujhe na le liya
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Hona tha jo-kuch ho chuka, Mujhse na bigdo Mahlaqa
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
KartiN hooN din-raat basar, Laal Mere main jaag kar
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Ho gayi beshak yeh khata, Mujhse ke paani na diya
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Ab na rulaooNgi kabhi, paani manga dooN gi abhi
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Achcha meri thi gar khata, paa gayi uski Main saza
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Jhoola tumhe jhooloN gi, LooriyaN de sulaooN gi
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Pyasee kai din ke Pisar, doodh piyo lo aa kar
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Goad mein Madar ki chale aao, Na jangal meiN raho
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Dil phata jaata hai Mera, Goad mein aao, main fida
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa
Rahem karo ai Meri JaaN, warna yeh mar jayegi MaaN
HasliyoN wale Mere, ho chuke bas ab khafa

Hasliyo Wale Mere lyrics !!!