Mangne Ka Maza Hai Dare Yaar Par - Alhajj Muhammad Owais Raza Qadri Lyrics


Maangne Ka Maza Hai Dar E Yaar Par
Har Talab Par Ataa Hai Dar E Yaar Par

Kaun Lab Kholta Hai Dar E Yaar Par
Be-Talab Mil Raha Hai Dar E Yaar Par

Maang Unse "Nahi" Jinke Lab Par Nahi
Jo Bhi Maanga Mila Hai Dar E Yaar Par

Bakhsh De Ya Khuda Fazl Farma Tera
Aaj Haazir Hai Gadaa Dar E Yaar Par

Kyun Na Maange Ubaid Unke Dar Par Dua
Jee Gaya Jo Maraa Hai Dar E Yaar Par

Mangne Ka Maza Hai Dare Yaar Par lyrics !!!